Meri tanhai ab alvida tujhko
Apnay khwaaboN ko aayaa hai haqeeqat ka mehkata paigham
Meray yaqeeN say haar gayi aakhir kismat ki bhi zid-
Bhari aaNkhoN maiN muskurati keh rahi hai meray iNtzaar ki shiddat
Aur shokh raNgoN ko machaltay haiN-
Meray sadioN say afsurda geet
Husn ban kay aayaa hai meray khwaaboN ki saraapaa taabeer
Ja teray zulm-o-sitam saub muaaf ai zamana-o-taqdeer
Khushi itni piyari hoti hai mujhy maaloom na tha
Category: Love Shayari
Posted On: 18-Jun-2008