Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai ? By Ghalib
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai ?
Aakhir is dard kee dawa kya hai
Ham hain mushtaaq aur woh bezaar
Ya ilaahee ! Yeh maajra kya hai ?
[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]
Main bhee munh mein zabaan rakhta hoon
Kaash ! Poocho ki “muddaa kya hai†?
Jab ki tujh bin naheen koee maujood
Fir ye hangaama, ‘ei khuda ! Kya hai
Ye paree chehara log kaise hain ?
Ghamza-o-ishwa-o-’adaa kya hai ?
[ paree chehara = angel faced, ghamza = amorous glance,
Ishwa = coquetry ]
Shikan-e-zulf-e-ambaree kyon hai ?
Nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?
[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]
Sabja-o-gul kahaan se aaye hain ?
Abr kya cheez hai, hawa kya hai ?
[ abr = clouds ]
Category: Love Shayari
Posted On: 16-Jan-2012