mohabbat ke anokhe thi sabhi andaaz kya karte
rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraz kya karte,
sanam tujhse mohabbat ka bhala aagaaz kya karte
labon par baat aayi par na thi aawaaz kya karte,
dil-e-nazuk humara usne pal mein tod dala tha
use bhaati thi toote kaanch ki aawaaz kya karte,
hum uske samne chup saadh kar baitha kiye phir bhi
jafa-kaari se pesh aaya woh heela-saaz kya karta,
sajakar sau tabassum ek gam tum se chhupata tha
magar mere tum jaan kar woh saare raaz kya karte.....
Category: Love Shayari
Posted On: 10-Jan-2012